Tuesday, September 1, 2009

Is anjane desh mein..
anjane se tum,
us roz achanak aa takraye,
dheere se muskurakar tumne,
anjane hi,
jane pehchane kuch rishte banaye....

man ekaki jab hua kuch vichlit,
raah meri jab hui kathin kuch,
smaran karakar us parichay ka,
tum pran mere wapas le aaye....

jab aa bikhra saundarya dhara par,
pag pag par jab rang ithlaye...
smaran karakar us parichay ka,
tum khwab meri palkon mein laaye...

bas ek pal ke laghu parichay mein,
pran mere, sab khwab mere,
maine tumhare hote paaye..
dheere se muskurakar tumne,
anjane hi jab,
jane pehchane kuch rishte banaye....!!!

Wednesday, August 26, 2009

Vasudhaiv Kutumbkam

Mere aas paas ye kehte hain sabhi...
ki main pardes mein hun...!!!
haan, main pardes mein hi to hun..
laanghi hain kuch seemayen maine,
paar jo ki hain kuch sarhaden,
par kahan alag hai
yahan ki mitti ka rang,
aasmaan ka meri tanhaiyon mein sang,
barkha ke pyar barsane ka dhang,
thandi hawa men jhoomte
pedon ka prasann man?
haan alag bhasahayen...
par mere desh mein..
badalti boliyon se...
nahi ho jate apne paraye.
fir kya baant saki hain sarhaden...
dharti ki sahishnuta k siwaye?
sarhaden wo jo baant saken aasman,
hawa, pani aur pakshiyon ka
kshitij ki ore pankh fadfadana..
jo na kabhi ho saki hain aisi...
to kyon na man maane bhala..
vasudhaiv kutumbkam...
ek kutumb ye dhara....!!!

Friday, July 24, 2009

Aaj bhi baki hai kahin,
Wo jo kabse raha nahi...!!!

Aaj bhi aati hain aawazen uski,
aaj bhi deta hai dikhayi.. wo humko khada yahin...!!!

Maan liya hai ye sach aaj humne,
ek arse se jiska samna.. humne kiya nahi...!!!

Usne to basali hai apni duniya,
aur humara is duniya mei hi.. thikana raha nahi...!!!

Firte hain raat din hum to aaj bhi bekal,
jo kismat badal de humari.. wo pir humein mila nahi...!!!